Monday, January 20, 2020

Papa Kehte Hain Bada Naam Karega Lyrics from Qayamat Se Qayamat Tak (1988)



Song: Papa Kehte Hain Bada Naam Karega
Lyricist(s): Majrooh Sultanpuri
Singer: Udit Narayan
Music: Anand, Milind
Movie: Qayamat Se Qayamat Tak (1988)





Lyrics of 'Papa Kehte Hain Bada Naam Karega' song of Hindi movie Qayamat Se Qayamat Tak (1988):




Papa kehte hain bada naam karega
Beta hamara aisa kaam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ke meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega
Beta hamara aisa kaam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ke meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega

Baithe hain mil ke sab yaar apne
Sabke dilon mein armaan yeh hai
Baithe hain mil ke sab yaar apne
Sabke dilon mein armaan yeh hai
Woh zindagi mein kal kya banega
Har ik nazar ka sapna yeh hai
Koi engineer ka kaam karega
Business mein koi apna naam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ke meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega

Mera to sapna hai ek chehra
Dekhe jo usko jhoome bahaar
Mera to sapna hai ek chehra
Dekhe jo usko jhoome bahaar
Gaalon mein khilti kaliyon ka mausam
Aankhon mein jaadu, hothon mein pyar
Banda yeh khoobsurat kaam karega
Dil ki duniya mein apna naam karega
Meri nazar se dekho to yaaron
Ke meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega


No comments:

Post a Comment